Inspired by Atif Aslam’s Tahdar-E-Haram version from Coke Studio Season 8

Vocal : Ayisha Abdul Basith

Recording : Ayisha’s Mini Studio

DOP & Editing : Abdul Basith

Location : Aynlyn’s House

Lyrics :

Kismat mein meri chain se jeena likhde

Doobe na kabhi mera safeena likh de

Jannat bhi gawara hai, magar mere liye

Aye Kaatib-e-Taqdeer, Madina likhde

Tajdar-e-Haram, ho Nigaah-e-Karam

Hum ghareebon ke din bhi sanwar jayenge

Haami-e-bekasaan, kya kahega jahan

Aapke dar se khaali agar jayenge

Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram

Koi apna nahi gham ke maaray hain hum

Aapke dar pe faryaad laaye hain hum

Ho Nigah-e-karam, warna chokhat pe hum

Aapka naam le le ke mar jaayenge

Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram

Kya tumse kahoon aye Arab ke Kunwar

Tum jaanat ho mann ki battiyaan

Dar-e-furqat toh aye ummi-laqab

Kaate na kat ti hai ab rattiyaan

Turi preet mein sudh budh sab bisri

Kab tak rahegi yeh beqabri

Gaahe ba-figan duzdeedah nazar

Kabhi sun bhi toh lo hamri battiyaan

Aapke darr se koi na khaali gaya

Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya

Ho habeeb-e-hazin par bhi Aaqa nazar

Warna auraq-e-hasti bikhar jayenge