Duaon me meri khudaya asar de
Meri kaavishon ka mujhe tu samar de
Karun ahl-e-duniya ke gham ko madawa,
Mere haath me koi aisa hunar de
Bhatakta phira hun mai manzil ki khatir
Jo phldaar ho koi aisa shajar de
Duaon me meri khudaya asar de
Meri kaavishon ka mujhe tu samar de
Ata kar mere dil ko taskeen ya rab
Mai kab mangta hun ke laho-gohar de
Mai duniya ke mahlon ka talib nahin hun
Meri ye dua hai ke jannat me ghar de
Duaon me meri khudaya asar de
Meri kaavishon ka mujhe tu samar de
Jo maa baap ka dard rakhta ho dil me
Khudaya mujhe aisa noor-e-nazar de
Khushi de ke wapas na lena kabhi tu
Na ho shaam jiski tu aisi sehar de
Duaon me meri khudaya asar de
Meri kaavishon ka mujhe tu samar de
Mujhe maal-o-zar de ke maghroor na kar
Mere dil me Allah tu apna dar de
Tamanna hai meri ho deedar tera
Nazar aaye mujhko tu aisi nazar de
Duaon me meri khudaya asar de
Meri kaavishon ka mujhe tu samar de